nigah-e-yaar kaisi hai lab-o-rukhsaar kaise hain | निगाह-ए-यार कैसी है, लब-ओ-रुख़सार कैसे हैं - Prasoon

nigah-e-yaar kaisi hai lab-o-rukhsaar kaise hain
ghazal ke jaaviye se dekh ye ash'aar kaise hain

kabhi chhalni kiya seena kabhi marham bane aaye
rula kar ke manaate hain mere sarkaar kaise hain

khila rehta hai ye chehra barasti hain magar aankhen
chhupaaye chhup nahin paate tire asraar kaise hain

hamein ahvaal ab unka hawaayein hi bataayengi
kabhi is paar the jo log vo us paar kaise hain

ana ko bhool jaate hain tiri sohbat mile jyon hi
khamo ke paich mein uljhe sabhi dastaar kaise hain

kabhi apne haqeeqat ki bayaani kar nahin paate
nazar lekin milaate hain karishma-kaar kaise hain

निगाह-ए-यार कैसी है, लब-ओ-रुख़सार कैसे हैं
ग़ज़ल के जाविये से देख, ये अश'आर कैसे हैं

कभी छलनी किया सीना कभी मरहम बने आए
रुला कर के मनाते हैं, मिरे सरकार कैसे हैं

खिला रहता है ये चेहरा बरसती हैं मगर आँखें
छुपाए छुप नहीं पाते तिरे असरार कैसे हैं

हमें अहवाल अब उनका हवाएं ही बताएंगी
कभी इस पार थे जो लोग वो उस पार कैसे हैं

अना को भूल जाते हैं, तिरी सोहबत मिले ज्यों ही
ख़मों के पेंच में उलझे सभी दस्तार कैसे हैं

कभी अपने हक़ीक़त की बयानी कर नहीं पाते
नज़र लेकिन मिलाते हैं, करिश्मा-कार कैसे हैं

- Prasoon
0 Likes

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prasoon

As you were reading Shayari by Prasoon

Similar Writers

our suggestion based on Prasoon

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari