palkon ke dareechon se utarkar nahin dekha
tujh sa ai meri jaan sitamgar nahin dekha
aahiste na chal raah muhabbat ki ai chaube
koi ye na kahe tune fisalkar nahin dekha
ghar hi jo bina uske mujhe kaatne daude
achha hai yatiimon ne kabhi ghar nahin dekha
hairaan na hon kaise ki badi cheez ganwaai
jeete hi rahe pyaar mein mar kar nahin dekha
uljha hai tu abtak bhi namaazon mein ai mulla
lagta hai ki tune lab-e-saagar nahin dekha
aurat ko vo kamzor kaha karte hain jin ne
moti se nikalte hue saagar nahin dekha
dekhe hain zamaane ne kai daur niraale
chaube sa magar khair sukhnavar nahin dekha
पलकों के दरीचों से उतरकर नहीं देखा
तुझ सा ऐ मिरी जान सितमगर नहीं देखा
आहिस्ते न चल राह मुहब्बत की ऐ "चौबे"
कोई ये न कहे तूने फ़िसलकर नहीं देखा
घर ही जो बिना उसके मुझे काटने दौड़े
अच्छा है यतीमों ने कभी घर नहीं देखा
हैराँ न हों कैसे कि बड़ी चीज़ गंवाई
जीते ही रहे प्यार में मर कर नहीं देखा
उलझा है तू अबतक भी नमाज़ों में ऐ मुल्ला
लगता है कि तूने लब-ए-साग़र नहीं देखा
औरत को वो कमज़ोर कहा करते हैं जिन ने
मोती से निकलते हुए सागर नहीं देखा
देखे हैं ज़माने ने कई दौर निराले
"चौबे" सा मग़र ख़ैर सुख़नवर नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Pundit Ayushya Chaturvedi
As you were reading Mehboob Shayari Shayari