jis dagar jaana na tha us or jaane lag gaye
lautkar aane mein unko bhi zamaane lag gaye
jhooth jab pakda gaya unka sare bazaar to
aankh mein aansu liye baatein banaane lag gaye
baarha jinko hidaayat di gayi parhez ki
vo hakeemon ki dava ko aazmaane lag gaye
do ghadi baitha qareen main mashwara dene magar
ishq ke apne tazurbe vo sunaane lag gaye
haal apna bhi bayaan karte use ham bhi magar
ham tabassum dekh uski muskuraane lag gaye
jin deeyon ki roshni se ghar mein bacche padh rahe
kuchh sharaabi baap unko bhi bujhaane lag gaye
subh ko jo phool varmaala ki khaatir aaye the
palakar dekhiye shav par sajaane lag gaye
जिस डगर जाना न था उस ओर जाने लग गए
लौटकर आने में उनको भी ज़माने लग गए
झूठ जब पकड़ा गया उनका सरे बाज़ार तो
आँख में आँसू लिए बातें बनाने लग गए
बारहा जिनको हिदायत दी गयी परहेज़ की
वो हकीमों की दवा को आज़माने लग गए
दो घड़ी बैठा क़रीं मैं मशवरा देने मगर
इश्क़ के अपने तज़रबे वो सुनाने लग गए
हाल अपना भी बयाँ करते उसे हम भी मगर
हम तबस्सुम देख उसकी मुस्कुराने लग गए
जिन दीयों की रोशनी से घर में बच्चे पढ़ रहे
कुछ शराबी बाप उनको भी बुझाने लग गए
सुब्ह को जो फूल वरमाला की ख़ातिर आए थे
बदनसीबी देखिए शव पर सजाने लग गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ravi 'VEER'
our suggestion based on Ravi 'VEER'
As you were reading Ishq Shayari Shayari