kaise qaateel sanam ye bhaaye hain
neer nainon se phir bahaaye hain
vo kiye ja rahe the ghaayal dil
muskuraahat ne gham chhupaaye hain
hamne sapne jala diye saare
aur apne sabhi ganwaaye hain
chhod kar chal diye mujhe tanhaa
aashiyaane naye sajaaye hain
jab se sab kuchh diya luta apna
tohfe gham waale tab kamaaye hain
कैसे क़ातिल सनम ये भाए हैं
नीर नैनों से फिर बहाए हैं
वो किए जा रहे थे घायल दिल
मुस्कुराहट ने ग़म छुपाए हैं
हमने सपने जला दिए सारे
और अपने सभी गॅंवाए हैं
छोड़ कर चल दिए मुझे तन्हा
आशियाने नए सजाए हैं
जब से सब कुछ दिया लुटा अपना
तोहफ़े ग़म वाले तब कमाए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rubal
our suggestion based on Rubal
As you were reading Tohfa Shayari Shayari