shauq bachchon ke kiye poore pitaa ne umr bhar hi | शौक़ बच्चों के किए पूरे पिता ने उम्र भर ही

  - Rubal

shauq bachchon ke kiye poore pitaa ne umr bhar hi
dhoop mein jalte hue par tay kiya bas khud safar hi

khwaab kaamil kar diye saare shikaayat bhi nahin kii
aankh par labreiz dekhi hai hamesha gham mein tar hi

jab meri aankhon ne koii khwaab dekha to pitaa kii
fikr mein kab raat beeti aur beeti kab sehar hi

dard sab apne kiye hisse mujhe hai di khushi bas
soch lete kaash vo apni khushi bhi kuchh pahar hi

laakh koii pyaar de sansaar mein sansaar bhar ka
par mohabbat bas pitaa kii sirf rahti hai amar hi

शौक़ बच्चों के किए पूरे पिता ने उम्र भर ही
धूप में जलते हुए पर तय किया बस ख़ुद सफ़र ही

ख़्वाब कामिल कर दिए सारे शिकायत भी नहीं की
आँख पर लबरेज़ देखी है हमेशा ग़म में तर ही

जब मेरी आँखों ने कोई ख़्वाब देखा तो पिता की
फ़िक्र में कब रात बीती और बीती कब सहर ही

दर्द सब अपने किए हिस्से मुझे है दी ख़ुशी बस
सोच लेते काश वो अपनी ख़ुशी भी कुछ पहर ही

लाख कोई प्यार दे संसार में संसार भर का
पर मोहब्बत बस पिता की सिर्फ़ रहती है अमर ही

  - Rubal

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rubal

As you were reading Shayari by Rubal

Similar Writers

our suggestion based on Rubal

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari