the dilaase jhooth sab dete nahin ab dheer ye | थे दिलासे झूठ सब देते नहीं अब धीर ये

  - Rubal

the dilaase jhooth sab dete nahin ab dheer ye
hain dua dekar ke rote ab mujhe sab peer ye

tum mujhe ab thaam lo main ghul rahi hoon raakh si
hain dubone mein lage bahte hue ab neer ye

thi kabhi zinda magar ab ek zinda laash hoon
aaj hai be-jaan si be-rang si tasveer ye

ishq hai haibat ye kha jaata adam ki rooh ko
saans apne jism ki ab to lage zanjeer ye

ab kisi se hai nahin shikwa mujhe jo gham mila
bewafa thi jab meri apni buri taqdeer ye

jaan se jaana mujhe tha ishq ka dastoor hai
lo akeli rah gai raanjhe bina phir heer ye

थे दिलासे झूठ सब देते नहीं अब धीर ये
हैं दुआ देकर के रोते अब मुझे सब पीर ये

तुम मुझे अब थाम लो मैं घुल रही हूॅं राख सी
हैं डुबोने में लगे बहते हुए अब नीर ये

थी कभी ज़िंदा मगर अब एक ज़िंदा लाश हूॅं
आज है बे-जान सी बे-रंग सी तस्वीर ये

इश्क़ है हैबत ये खा जाता अदम की रूह को
साँस अपने जिस्म की अब तो लगे ज़ंजीर ये

अब किसी से है नहीं शिकवा मुझे जो ग़म मिला
बेवफ़ा थी जब मिरी अपनी बुरी तक़दीर ये

जान से जाना मुझे था इश्क़ का दस्तूर है
लो अकेली रह गई राँझे बिना फिर हीर ये

  - Rubal

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rubal

As you were reading Shayari by Rubal

Similar Writers

our suggestion based on Rubal

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari