kaatib-e-taqdeer ne bhi chashm-e-tar ho kar likha hai | कातिब-ए-तक़दीर ने भी चश्म-ए-तर हो कर लिखा है - Saurabh Kumar

kaatib-e-taqdeer ne bhi chashm-e-tar ho kar likha hai
zakham ka naasoor hona aashiqi ki intiha hai

in hawaon ki khamoshi ko suna hai yaar hamne
jaan paaye hum tabhi qudrat hamaari ham-nava hai

log tanhaa chhod denge baat meri maan lo tum
sabke apne gham bahut hain sab khudi mein mubtila hai

roz sacchi hi mohabbat se khuda milva raha hai
baat aisi kuch nahin hai bas zara dil man-chala hai

dho raha hoon khoobsurat pairhan mein paikar-e-ishq
yun nahin tha haal ye to haasil-e-'umr-e-wafaa hai

kaash meri maut teri god mein ho jaan-e-jaanaan
bas khuda se ab meri ye aakhiri jaiz dua hai

कातिब-ए-तक़दीर ने भी चश्म-ए-तर हो कर लिखा है
ज़ख़्म का नासूर होना आशिक़ी की इंतिहा है

इन हवाओं की ख़मोशी को सुना है यार हमने
जान पाए हम तभी क़ुदरत हमारी हम-नवा है

लोग तन्हा छोड़ देंगे बात मेरी मान लो तुम
सबके अपने ग़म बहुत हैं सब ख़ुदी में मुब्तिला है

रोज़ सच्ची ही मोहब्बत से ख़ुदा मिलवा रहा है
बात ऐसी कुछ नहीं है बस ज़रा दिल मन-चला है

ढो रहा हूँ ख़ूबसूरत पैरहन में पैकर-ए-इश्क़
यूँ नहीं था हाल ये तो हासिल-ए-'उम्र-ए-वफ़ा है

काश मेरी मौत तेरी गोद में हो जान-ए-जानाँ
बस ख़ुदा से अब मिरी ये आख़िरी जाइज़ दुआ है

- Saurabh Kumar
0 Likes

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saurabh Kumar

As you were reading Shayari by Saurabh Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Saurabh Kumar

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari