ham apne pehchaan ke khoj mein hain
yaani girebaan ke khoj mein hain
na hove parwaaz par rok meri
bas aise maidaan ke khoj mein hain
ab na ameer-e-shahr se darein sab
aise nigahbaan ke khoj mein hain
us teer-andaaz ki baat mat kar
vo ab sana-khwaan ke khoj mein hain
ab dosto ne mera haath pakda
jab log be-jaan ke khoj mein hain
jab saare rehzan mukarne lage tab
sab apne quraan ke khoj mein hain
ye maah ramzaan ka chal raha hain
sab log eimaan ke khoj mein hain
हम अपने पहचान के खोज में हैं
यानी गिरेबान के खोज में हैं
ना होवे पर्वाज़ पर रोक मेरी
बस ऐसे मैदान के खोज में हैं
अब ना अमीर-ए-शहर से डरें सब
ऐसे निगहबान के खोज में हैं
उस तीर-अंदाज़ की बात मत कर
वो अब सना-ख़्वान के खोज में हैं
अब दोस्तो ने मिरा हाथ पकड़ा
जब लोग बे-जान के खोज में हैं
जब सारे रहज़न मुकरने लगे तब
सब अपने कुरआन के खोज में हैं
ये माह रमज़ान का चल रहा हैं
सब लोग ईमान के खोज में हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saurabh Kumar
our suggestion based on Saurabh Kumar
As you were reading Religion Shayari Shayari