tanhaa logon ki yaari achhi hoti hai
jaise ghar mein fulwaari achhi hoti hai
yaar aseer-e-marz-e-'ishq bane rahna tum
iklauti ye beemaari achhi hoti hai
jaan-e-jaan tumko main ye kaise samjhaaoon
ishq mein rasm-e-wafadaari achhi hoti hai
apni takleefon ko yun jag-zaahir mat kar
apnon se parda-daari achhi hoti hai
saurabh haalat-e-naadaari mein seekha hamne
ye fikr-e-shab-bedaari achhi hoti hai
तन्हा लोगों की यारी अच्छी होती है
जैसे घर में फुलवारी अच्छी होती है
यार असीर-ए-मरज़-ए-'इश्क़ बने रहना तुम
इकलौती ये बीमारी अच्छी होती है
जान-ए-जाँ तुमको मैं ये कैसे समझाऊं
इश्क़ में रस्म-ए-वफ़ादारी अच्छी होती है
अपनी तकलीफ़ों को यूँ जग-ज़ाहिर मत कर
अपनों से पर्दा-दारी अच्छी होती है
'सौरभ' हालत-ए-नादारी में सीखा हमने
ये फ़िक्र-ए-शब-बेदारी अच्छी होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saurabh Kumar
our suggestion based on Saurabh Kumar
As you were reading Love Shayari Shayari