kuchh kar guzarne kii mujhko himmat hai bahut
is taare ko chamakne kii chaahat hai bahut
dil kehta hai sab cheezen mol lo abhi
par gurbat mein cheezein kii qeemat hai bahut
yun to mayassar hai har shay duniya kii use
phir bhi usko shikaayat kii aadat hai bahut
khushi khushi kar khidmat tu waalidain kii
ye naukri vo hai jismein daulat hai bahut
jitna karna hai zulm kar le ai zaalim
is mazloom ko sahne kii taakat hai bahut
कुछ कर गुज़रने की मुझको हिम्मत है बहुत
इस तारे को चमकने की चाहत है बहुत
दिल कहता है सब चीज़ें मोल लो अभी
पर ग़ुरबत में चीज़ों की क़ीमत है बहुत
यूँ तो मयस्सर है हर शय दुनिया की उसे
फिर भी उसको शिकायत की आदत है बहुत
ख़ुशी ख़ुशी कर ख़िदमत तू वालिदैन की
ये नौकरी वो है जिसमें दौलत है बहुत
जितना करना है ज़ुल्म कर ले ऐ ज़ालिम
इस मज़लूम को सहने की ताकत है बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHABAB ANWAR
our suggestion based on SHABAB ANWAR
As you were reading Protest Shayari Shayari