jo jo gada jahaan mein tire dar ke ho gaye
haan ba-khuda vo misl sikandar ke ho gaye
sehra mein gaate firte hain nagme firaq ke
ab ham bhi qais teri barabar ke ho gaye
mumin the jitne khair se manzil talak gaye
mushrik the jitne nazr samandar ke ho gaye
ye likh ke khat mein de diya qaasid ko hamne khat
ham tere intizaar mein patthar ke ho gaye
ai mere hum-nasheen tiri hijrat ke baad mein
manzar udaas saare mere ghar ke ho gaye
जो जो गदा जहाँ में तिरे दर के हो गए
हाँ बा-ख़ुदा वो मिस्ल सिकन्दर के हो गए
सहरा में गाते फिरते हैं नग़्मे फ़िराक़ के
अब हम भी क़ैस तेरी बराबर के हो गए
मोमिन थे जितने ख़ैर से मंज़िल तलक गए
मुशरिक थे जितने नज़्र समन्दर के हो गए
ये लिख के ख़त में दे दिया क़ासिद को हमने ख़त
हम तेरे इंतिज़ार में पत्थर के हो गए
ऐ मेरे हम-नशीं तिरी हिजरत के बाद में
मंज़र उदास सारे मिरे घर के हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Nazara Shayari Shayari