kahkashaan shams aur qamar hi nahin | कहकशाँ शम्स और क़मर ही नहीं - Shajar Abbas

kahkashaan shams aur qamar hi nahin
yun falak par meri nazar hi nahin

kislie jaayen yaar koo-e-sanam
jab wahan koii muntazar hi nahin

majlis-e-hijr. ho chuki hai bapaa
dil ke andar humein khabar hi nahin

khaak sehra kii chaan ne do mujhe
main kahaan jaaun mera ghar hi nahin

dil mein barchi sii gar utar na sake
ye nazar phir nazar nazar hi nahin

zindagi se main thak ke baith gaya
maut ka dil mein yun to dar hi nahin

baad-e-furqat yaqeen kar tu mera
dil mein ab khwaahish-e-safar hi nahin

sher-e-haider se jang kaun kare
lashkar-e-shaam mein to nar hi nahin

kaise parvaaz aasmaan mein karein
jism hai jism par to par hi nahin

zindagi mein agar magar hai magar
maut aaye agar magar hi nahin

saath chalta hai mere aks mera
kyun kahoon koii hum safar hi nahin

dekh paaye vo jisse zakham-e-jigar
unki aankhon mein vo nazar hi nahin

kyun main dastaar ka malaal karoon
jab mere tan pe baaki sar hi nahin

khaak mein mil chuka hai jism mera
aap hain aap ko khabar hi nahin

kyun karega shajar kii qadr koii
jab shajar par kahin samar hi nahin

कहकशाँ शम्स और क़मर ही नहीं
यूँ फ़लक पर मिरी नज़र ही नहीं

किसलिए जाएँ यार कू-ए-सनम
जब वहाँ कोई मुंतज़र ही नहीं

मजलिस-ए-हिज्र हो चुकी है बपा
दिल के अन्दर हमें ख़बर ही नहीं

ख़ाक सहरा की छान ने दो मुझे
मैं कहाँ जाऊँ मेरा घर ही नहीं

दिल में बरछी सी गर उतर न सके
ये नज़र फिर नज़र नज़र ही नहीं

ज़िंदगी से मैं थक के बैठ गया
मौत का दिल में यूँ तो डर ही नहीं

बाद-ए-फ़ुर्क़त यक़ीन कर तू मिरा
दिल में अब ख़्वाहिश-ए-सफ़र ही नहीं

शेर-ए-हैदर से जंग कौन करे
लश्कर-ए-शाम में तो नर ही नहीं

कैसे परवाज़ आसमाँ में करें
जिस्म है जिस्म पर तो पर ही नहीं

ज़िंदगी में अगर मगर है मगर
मौत आए अगर मगर ही नहीं

साथ चलता है मेरे अक्स मिरा
क्यों कहूँ कोई हम सफ़र ही नहीं

देख पाएँ वो जिससे ज़ख़्म-ए-जिगर
उनकी आँखों में वो नज़र ही नहीं

क्यों मैं दस्तार का मलाल करूँ
जब मिरे तन पे बाक़ी सर ही नहीं

ख़ाक में मिल चुका है जिस्म मिरा
आप हैं आप को ख़बर ही नहीं

क्यों करेगा शजर की क़द्र कोई
जब शजर पर कहीं समर ही नहीं

- Shajar Abbas
1 Like

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari