na hi mehfil na raushan ghar ata kar | न ही महफ़िल न रौशन घर अता कर - Dipanshu Shams

na hi mehfil na raushan ghar ata kar
parinda hoon mujhe ambar ata kar

gamon ki fauj se ladne ko maula
mujhe himmat ka ik lashkar ata kar

dhuaa hai aag hai har soo khudaaya
yahan koi to khush-manzar ata kar

rakhi hai chaak par mitti hamaari
use ai waqt kooza-gar ata kar

mohabbat hai mujhe jisse use rab
tasavvur se kabhi baahar ata kar

न ही महफ़िल न रौशन घर अता कर
परिन्दा हूँ मुझे अम्बर अता कर

ग़मों की फ़ौज से लड़ने को मौला
मुझे हिम्मत का इक लश्कर अता कर

धुँआ है आग है हर सू ख़ुदाया
यहाँ कोई तो ख़ुश-मंज़र अता कर

रखी है चाक पर मिट्टी हमारी
उसे ऐ वक़्त कूज़ा-गर अता कर

मोहब्बत है मुझे जिससे उसे रब
तसव्वुर से कभी बाहर अता कर

- Dipanshu Shams
1 Like

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipanshu Shams

As you were reading Shayari by Dipanshu Shams

Similar Writers

our suggestion based on Dipanshu Shams

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari