ada mein ishq yahi to hai saadgi meri
na be-wafa se hai thodi si dushmani meri
main de raha hoon use ek saal ka mauqa
bata de ek muhabbat mein vo kami meri
dikha ke jhoothi muhabbat mujhe saleeqe se
usi ne ki hai ye barbaad zindagi meri
laga raha hai tu mujh par fareb ki tohmat
samajh le kitni hai kamzor dosti meri
dobara phir vo kabhi laut kar nahin aaya
sabhi ne dekhi hai daanish ye bebaasi meri
अदा में इश्क़ यही तो है सादगी मेरी
न बे-वफ़ा से है थोड़ी सी दुश्मनी मेरी
मैं दे रहा हूँ उसे एक साल का मौक़ा
बता दे एक मुहब्बत में वो कमी मेरी
दिखा के झूठी मुहब्बत मुझे सलीक़े से
उसी ने की है ये बर्बाद ज़िंदगी मेरी
लगा रहा है तू मुझ पर फ़रेब की तोहमत
समझ ले कितनी है कमज़ोर दोस्ती मेरी
दोबारा फिर वो कभी लौट कर नहीं आया
सभी ने देखी है 'दानिश' ये बेबसी मेरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Jhooth Shayari Shayari