ham ne kisi insaan se kyun ye muhabbat ki
haan zindagi se is tarah ham ne bagaavat ki
ab log kar baithe yahan apni jawaani mein
bachpan mein hi hamne muhabbat mein himaqat ki
barbaad ho jaayenge ye maaloom tha hamko
phir bhi na jaane hamne kyun aisi sharaarat ki
vo karti hai shiddat se rooswaai hamaari bhi
haalaat pe uski yun hamne to nazaakat ki
qasmen bhi khaai thi vo daanish saath rahne ki
aisi bhi chaahat ki kahaan usne bhi izzat ki
हम ने किसी इंसान से क्यों ये मुहब्बत की
हाँ ज़िंदगी से इस तरह हम ने बग़ावत की
अब लोग कर बैठे यहाँ अपनी जवानी में
बचपन में ही हमने मुहब्बत में हिमाक़त की
बर्बाद हो जाएँगे ये मालूम था हमको
फिर भी न जाने हमने क्यों ऐसी शरारत की
वो करती है शिद्दत से रूसवाई हमारी भी
हालात पे उसकी यूँ हमने तो नज़ाकत की
क़समें भी खाई थी वो ''दानिश'' साथ रहने की
ऐसी भी चाहत की कहाँ उसने भी इज़्ज़त की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Haalaat Shayari Shayari