kyun na ho junoon mujhmein ab bhi tumko paane ka | क्यों न हो जुनूँ मुझमें अब भी तुमको पाने का

  - Umashankar Lekhwar

kyun na ho junoon mujhmein ab bhi tumko paane ka
kyun na haq ho taaron ko chaand ko sajaane ka

kaam hai hamein phir ab baat baad mein hogi
hal nahin mila phir se aaj is bahaane ka

rooth ke kabhi baitho tum agar kahin par bhi
bas hamein mile zimma phir tumhein manaane ka

aadaten buri to hain yun bahut magar aakhir
shauq sa chadha hai kyun khwaab ye sajaane ka

raah dekh loonga main din guzaar bhi doonga
bas mujhe bahaana do tum agar na jaane ka

chhod kar agar koii jo chala gaya tumko
kuchh nahin bigadta hai phir kabhi zamaane ka

dekh ke tumhein pal bhar rah saka hoon khush bhi main
aib hai zara mujhmein khushiyaan maang laane ka

क्यों न हो जुनूँ मुझमें अब भी तुमको पाने का
क्यों न हक़ हो तारों को चाँद को सजाने का

काम है हमें फिर अब बात बाद में होगी
हल नहीं मिला फिर से आज इस बहाने का

रूठ के कभी बैठो तुम अगर कहीं पर भी
बस हमें मिले ज़िम्मा फिर तुम्हें मनाने का

आदतें बुरी तो हैं यूँ बहुत मगर आख़िर
शौक़ सा चढ़ा है क्यों ख़्वाब ये सजाने का

राह देख लूँगा मैं दिन गुज़ार भी दूँगा
बस मुझे बहाना दो तुम अगर न जाने का

छोड़ कर अगर कोई जो चला गया तुमको
कुछ नहीं बिगड़ता है फिर कभी ज़माने का

देख के तुम्हें पल भर रह सका हूँ ख़ुश भी मैं
ऐब है ज़रा मुझमें ख़ुशियाँ माँग लाने का

  - Umashankar Lekhwar

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umashankar Lekhwar

As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar

Similar Writers

our suggestion based on Umashankar Lekhwar

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari