mili ab jo nazar tumse to main sab bhool jaaunga
batao ab mujhe aakhir tumhein main kyun nihaaroonga
inheen se hoon abhi zinda inheen mein jee raha hoon main
bitaaye the kabhi hamne vo lamhe kyun bhulaoonga
nishaani jo agar maange kabhi mujhse mohabbat ki
sivaae khwaab ke aakhir kisi ko aur kya doonga
bina dekhe mujhe kaise mera tum haal jaanogi
milogi tum kabhi aakar tumhein main tab bataaunga
tumhein hi dhoondhta hai ye tumhein kyun chahta hai ye
mera dil naasamjh hai ab ise main kya sajaadoonga
na main ab yaad karta hoon na tum bhi yaad aate ho
agar yun hi guzaare din tumhein main bhool jaaunga
मिली अब जो नज़र तुमसे तो मैं सब भूल जाऊँगा
बताओ अब मुझे आख़िर तुम्हें मैं क्यों निहारूँगा
इन्हीं से हूँ अभी ज़िंदा इन्हीं में जी रहा हूँ मैं
बिताए थे कभी हमने वो लम्हें क्यों भुलाऊँगा
निशानी जो अगर माँगे कभी मुझसे मोहब्बत की
सिवाए ख़्वाब के आख़िर किसी को और क्या दूँगा
बिना देखे मुझे कैसे मेरा तुम हाल जानोगी
मिलोगी तुम कभी आकर तुम्हें मैं तब बताऊँगा
तुम्हें ही ढूँढ़ता है ये तुम्हें क्यों चाहता है ये
मेरा दिल नासमझ है अब इसे मैं क्या सजादूँगा
न मैं अब याद करता हूँ न तुम भी याद आते हो
अगर यूँ ही गुज़ारे दिन तुम्हें मैं भूल जाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar
our suggestion based on Umashankar Lekhwar
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari