beej bachpan mein agar maine lagaaya hota
phir budhaape mein mere sar pe bhi saaya hota
jab janaaze me koi pahuncha nahin tab jaana
saath paison ke t'alluq bhi kamaaya hota
isliye hamne mohabbat ki tijaarat na ki
faayda kuchh nahin tha asl bhi zaaya hota
haath failaane nahin padte kisi ke aage
aapke dar pe agar sar ko jhukaaya hota
aakhirat me mere haathon se bhi khushboo aati
gar madad ko kisi ki haath badhaaya hota
aaj shaayad kisi daftar me vo afsar hoti
kaash beti ko bhi beton sa padhaaya hota
बीज बचपन में अगर मैंने लगाया होता
फिर बुढ़ापे में मेरे सर पे भी साया होता
जब जनाज़े मे कोई पहुँचा नहीं तब जाना
साथ पैसों के त'अल्लुक़ भी कमाया होता
इसलिए हमने मोहब्बत की तिजारत ना की
फ़ायदा कुछ नहीं था अस्ल भी ज़ाया होता
हाथ फैलाने नहीं पड़ते किसी के आगे
आपके दर पे अगर सर को झुकाया होता
आख़िरत मे मेरे हाथों से भी ख़ुशबू आती
गर मदद को किसी की हाथ बढ़ाया होता
आज शायद किसी दफ़्तर मे वो अफ़सर होती
काश बेटी को भी बेटों सा पढ़ाया होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan
our suggestion based on Mohammad Aquib Khan
As you were reading Rahbar Shayari Shayari