jis ki awaaz kaanon mein subh subh chidiyon ki tarah chahakti thi | जिस की आवाज़ कानों में सुब्ह सुब्ह चिड़ियों की तरह चहकती थी - Aamir Riaz

jis ki awaaz kaanon mein subh subh chidiyon ki tarah chahakti thi
jis ki maujoodgi se fazaaon mein khushboo si mehkati thi
vo meri pehli mohabbat thi
jis ki aankhen dekh mutassir ho jaate the hiran
naqaab se jis ka chehra aise jhalakta tha jaise suraj ki pehli kiran
jis ka muskurana tha ki jaise vaadiyon mein sehar ka aana
kisi phool ki tarah jis pe titliyan mandraaya karti theen
vo chaand se aayi thi shaayad raat mein sitaaron se baatein kiya karti thi
jo din ka pehla paighaam bhi thi aur raat ka aakhiri salaam bhi
subh-ba-khair se le kar shab-b-khair tak jo mera takiya-kalaam thi
vo meri pehli mohabbat thi
khaamoshi mein chhupaaye jazbaat jo samajh leti thi
bin zaahir kiye tamaam ehsaasaat jo parakh leti thi
mere liye jo har kahaani har ek qisse mein thi
har ek shaay'ri har ek ghazal ke hisse mein thi
jo har nazm mein thi aur har mauseeqi mein bhi
dildaar bhi thi jo aur duniya-daar bhi
shaan-o-shaukat ki is duniya mein mujh gareeb ki chaahat ki talabgaar thi
vo meri pehli mohabbat thi
jo maazi thi magar mera mustaqbil na ban paai
mere saath har haal mein raazi thi magar zindagi mein shaamil na ho paai
pyaar ki raah mein jo meri hum-safar thi
jis ke jaane ke baad meri zindagi sifar thi
kuch rishte khoon ke hote hain aur kuch dil ke
magar rooh ka rishta sirf jis shakhs se tha
vo meri pehli mohabbat thi
mere takhayyul mein jo ik tasveer ban ke rah gai
jo dil mein mere bas ke taqdeer mein kisi aur ki ho gai
jo hamraaz bhi thi aur meri zindagi ka sab se bada raaz bhi
jis ke jaane ke muddaton baad bhi us ke waapas aane ki ek aas thi
vo meri pehli mohabbat thi
vo meri pehli mohabbat thi

जिस की आवाज़ कानों में सुब्ह सुब्ह चिड़ियों की तरह चहकती थी
जिस की मौजूदगी से फ़ज़ाओं में ख़ुशबू सी महकती थी
वो मेरी पहली मोहब्बत थी
जिस की आँखें देख मुतअस्सिर हो जाते थे हिरन
नक़ाब से जिस का चेहरा ऐसे झलकता था जैसे सूरज की पहली किरन
जिस का मुस्कुराना था कि जैसे वादियों में सहर का आना
किसी फूल की तरह जिस पे तितलियाँ मंडराया करती थीं
वो चाँद से आई थी शायद रात में सितारों से बातें किया करती थी
जो दिन का पहला पैग़ाम भी थी और रात का आख़िरी सलाम भी
सुब्ह-बा-ख़ैर से ले कर शब-ब-ख़ैर तक जो मेरा तकिया-कलाम थी
वो मेरी पहली मोहब्बत थी
ख़ामोशी में छुपाए जज़्बात जो समझ लेती थी
बिन ज़ाहिर किए तमाम एहसासात जो परख लेती थी
मेरे लिए जो हर कहानी हर एक क़िस्से में थी
हर एक शाइ'री हर एक ग़ज़ल के हिस्से में थी
जो हर नज़्म में थी और हर मौसीक़ी में भी
दिलदार भी थी जो और दुनिया-दार भी
शान-ओ-शौकत की इस दुनिया में मुझ ग़रीब की चाहत की तलबगार थी
वो मेरी पहली मोहब्बत थी
जो माज़ी थी मगर मेरा मुस्तक़बिल न बन पाई
मेरे साथ हर हाल में राज़ी थी मगर ज़िंदगी में शामिल न हो पाई
प्यार की राह में जो मेरी हम-सफ़र थी
जिस के जाने के बाद मेरी ज़िंदगी सिफ़र थी
कुछ रिश्ते ख़ून के होते हैं और कुछ दिल के
मगर रूह का रिश्ता सिर्फ़ जिस शख़्स से था
वो मेरी पहली मोहब्बत थी
मेरे तख़य्युल में जो इक तस्वीर बन के रह गई
जो दिल में मेरे बस के तक़दीर में किसी और की हो गई
जो हमराज़ भी थी और मेरी ज़िंदगी का सब से बड़ा राज़ भी
जिस के जाने के मुद्दतों बाद भी उस के वापस आने की एक आस थी
वो मेरी पहली मोहब्बत थी
वो मेरी पहली मोहब्बत थी

- Aamir Riaz
2 Likes

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aamir Riaz

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari