har samt se nihaar na kaaya janab ki
sharma gai hai dekh ke choli hijaab ki
hogi zaroor aaj qayamat kahi bhi ho
khulne lagi hai unke jo ghundi naqaab ki
apne gudaaz husn ko rakhna sanbhaal kar
ab hai khuda bhi taak mein tere shabaab ki
is maamle mein mera koi haath hi nahin
apni hayaat tumne to khud hi kharab ki
unse kaha tha laana dava pet dard ki
naadaan mujhko de gaye goli julaab ki
हर सम्त से निहार न काया जनाब की
शर्मा गई है देख के चोली हिजाब की
होगी ज़रूर आज क़यामत कहीं भी हो
खुलने लगी है उनके जो घुंडी नक़ाब की
अपने गुदाज़ हुस्न को रखना सँभाल कर
अब है ख़ुदा भी ताक में तेरे शबाब की
इस मामले में मेरा कोई हाथ ही नहीं
अपनी हयात तुमने तो ख़ुद ही ख़राब की
उनसे कहा था लाना दवा पेट दर्द की
नादान मुझको दे गए गोली जुलाब की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Husn Shayari Shayari