tooti hui hai chaukhat toota hua gharaana | टूटी हुई है चौखट टूटा हुआ घराना

  - Prashant Kumar

tooti hui hai chaukhat toota hua gharaana
tum aur koi dekho main ho gaya puraana

manzil qadam-qadam par angadaai le rahi hai
koi dikhe na jis par vo raasta dikhaana

main to faqeer thehra hain paas mein duaaein
roti jo chain ki de chaukhat wahi dikhaana

qismat ki maar hai jo harf ae dua se dekho
dushnaam ban gaya hoon honton pe mat sajaana

itni duaaein doonga bhar jaaye ghar tumhaara
tum zahar bhi khilao to pyaar se khilaana

टूटी हुई है चौखट टूटा हुआ घराना
तुम और कोई देखो मैं हो गया पुराना

मंज़िल क़दम-क़दम पर अँगड़ाई ले रही है
कोई दिखे न जिस पर वो रास्ता दिखाना

मैं तो फ़क़ीर ठहरा हैं पास में दुआएँ
रोटी जो चैन की दे चौखट वही दिखाना

क़िस्मत की मार है जो हर्फ़ ए दुआ से देखो
दुश्नाम बन गया हूँ होंटों पे मत सजाना

इतनी दुआएँ दूँगा भर जाए घर तुम्हारा
तुम ज़हर भी खिलाओ तो प्यार से खिलाना

  - Prashant Kumar

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari