ye mera nahin sar-e-daar par sar-e-vaahini ka qaam hai
ki watan rihaai ke baad bhi kai taakaton ka ghulaam hai
meri raay ahl-o-'ayaal ko hai kabhi bhi laadli betiyaan
na kisi ke haal pe chhodna ye jahaan havas ka ghulaam hai
koi dharm-granth agar sabhi ko fasaad karna sikha raha
to samajh ki usmein likha kisi ke lahu se haq ka qalaam hai
tiri dastaan mere waqie se mili-juli hi rahi magar
tira sheershak koi aur tha mera sheershak tira naam hai
ये मिरा नहीं सर-ए-दार पर सर-ए-वाहिनी का क़वाम है
कि वतन रिहाई के बाद भी कई ताकतों का ग़ुलाम है
मिरी राय अहल-ओ-'अयाल को है कभी भी लाडली बेटियाँ
न किसी के हाल पे छोड़ना ये जहाँ हवस का ग़ुलाम है
कोई धर्म-ग्रंथ अगर सभी को फ़साद करना सिखा रहा
तो समझ कि उसमें लिखा किसी के लहू से हक़ का क़लाम है
तिरी दास्ताँ मिरे वाक़िए से मिली-जुली ही रही मगर
तिरा शीर्षक कोई और था मिरा शीर्षक तिरा नाम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Fasad Shayari Shayari