koi achhi si ghazal kaanon mein mere ghol de | कोई अच्छी सी ग़ज़ल कानों में मेरे घोल दे - Aftab Shamsi

koi achhi si ghazal kaanon mein mere ghol de
qaid-e-tanhaai mein hoon main mujh ko aa kar khol de

ye tanaav jism ka badhne nahin dega tujhe
chust pairaahan mein tu apne zara sa jhol de

ek ladki jal rahi hai chilchilaati dhoop mein
koi baadal aa ke us par apni chhatri khol de

raah takte jism ki majlis mein sadiyaan ho gaeein
jhaank kar andhe kuein mein ab to koi bol de

main khareedaar-e-wafa hoon tu girftaar-e-wafa
meri baanhon mein thirkata jism apna tol de

der tak banjaara kal koi sada deta raha
kaun hai bazaar mein jo jins-e-dil ka mol de

jaane kab se faisla qismat ka sunne ke liye
muntazir baitha hoon main tu apni mutthi khol de

sher achhe hon to be-gaaye bhi mil jaati hai daad
tu khudaara lahan ke haathon mein mat kashkol de

कोई अच्छी सी ग़ज़ल कानों में मेरे घोल दे
क़ैद-ए-तन्हाई में हूँ मैं मुझ को आ कर खोल दे

ये तनाव जिस्म का बढ़ने नहीं देगा तुझे
चुस्त पैराहन में तू अपने ज़रा सा झोल दे

एक लड़की जल रही है चिलचिलाती धूप में
कोई बादल आ के उस पर अपनी छतरी खोल दे

राह तकते जिस्म की मज्लिस में सदियाँ हो गईं
झाँक कर अंधे कुएँ में अब तो कोई बोल दे

मैं ख़रीदार-ए-वफ़ा हूँ तू गिरफ़्तार-ए-वफ़ा
मेरी बाँहों में थिरकता जिस्म अपना तोल दे

देर तक बंजारा कल कोई सदा देता रहा
कौन है बाज़ार में जो जिंस-ए-दिल का मोल दे

जाने कब से फ़ैसला क़िस्मत का सुनने के लिए
मुंतज़िर बैठा हूँ मैं तू अपनी मुट्ठी खोल दे

शेर अच्छे हों तो बे-गाए भी मिल जाती है दाद
तू ख़ुदारा लहन के हाथों में मत कश्कोल दे

- Aftab Shamsi
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Shamsi

As you were reading Shayari by Aftab Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Shamsi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari