payaam-e-aashti ik dhong dosti ka tha | पयाम-ए-आश्ती इक ढोंग दोस्ती का था - Aftab Shamsi

payaam-e-aashti ik dhong dosti ka tha
mila vo hans ke taqaza ye dushmani ka tha

khada kinaare pe main apni thaah kya paata
ki ye mo'amla irfaan-o-aagahi ka tha

main us ke saamne ghairoon se baat karta raha
agarche sauda mere sar mein bas usi ka tha

kai imaarton ko apna ghar samajh ke jiya
mere makaan mein fuqdaan raushni ka tha

jo saath laaye the ghar se vo kho gaya hai kahi
iraada warna hamaara bhi waapsi ka tha

पयाम-ए-आश्ती इक ढोंग दोस्ती का था
मिला वो हँस के तक़ाज़ा ये दुश्मनी का था

खड़ा किनारे पे मैं अपनी थाह क्या पाता
कि ये मोआ'मला इरफ़ान-ओ-आगही का था

मैं उस के सामने ग़ैरों से बात करता रहा
अगरचे सौदा मिरे सर में बस उसी का था

कई इमारतों को अपना घर समझ के जिया
मिरे मकान में फ़ुक़्दान रौशनी का था

जो साथ लाए थे घर से वो खो गया है कहीं
इरादा वर्ना हमारा भी वापसी का था

- Aftab Shamsi
0 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Shamsi

As you were reading Shayari by Aftab Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Shamsi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari