joo-e-ravaan hoon thehra samundar nahin hoon main | जू-ए-रवाँ हूँ ठहरा समुंदर नहीं हूँ मैं - Aftab Shamsi

joo-e-ravaan hoon thehra samundar nahin hoon main
jo nasb ho chuka ho vo patthar nahin hoon main

suraj ka qahar dekhiye mujh par ki aaj tak
khud apne saaye ke bhi barabar nahin hoon main

main pighla ja raha hoon badan ke alaav mein
aur kah raha hoon mom ka paikar nahin hoon main

mitti safar ki pairo'n mein aankhon mein ek khwaab
thehroon kahaan ki meel ka patthar nahin hoon main

din bhar ki bhooki pyaasi chali aa rahi hai raat
kis dil se uzr kar doon ki ghar par nahin hoon main

boodhi rivaayaton se bhare ek shehar mein
yun bas gaya hoon jaise ki be-ghar nahin hoon main

जू-ए-रवाँ हूँ ठहरा समुंदर नहीं हूँ मैं
जो नस्ब हो चुका हो वो पत्थर नहीं हूँ मैं

सूरज का क़हर देखिए मुझ पर कि आज तक
ख़ुद अपने साए के भी बराबर नहीं हूँ मैं

मैं पिघला जा रहा हूँ बदन के अलाव में
और कह रहा हूँ मोम का पैकर नहीं हूँ मैं

मिट्टी सफ़र की पैरों में आँखों में एक ख़्वाब
ठहरूँ कहाँ कि मील का पत्थर नहीं हूँ मैं

दिन भर की भूकी प्यासी चली आ रही है रात
किस दिल से उज़्र कर दूँ कि घर पर नहीं हूँ मैं

बूढ़ी रिवायतों से भरे एक शहर में
यूँ बस गया हूँ जैसे कि बे-घर नहीं हूँ मैं

- Aftab Shamsi
0 Likes

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Shamsi

As you were reading Shayari by Aftab Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Shamsi

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari