der tak raat andhere mein jo main ne dekha | देर तक रात अँधेरे में जो मैं ने देखा - Aftab Shamsi

der tak raat andhere mein jo main ne dekha
mujh se bichhde hue ik shakhs ka chehra ubhara

qasmen de de ke mere haathon ne mujh ko roka
main ne deewaar se kal naam jab us ka khurcha

dekh kar us ko laga jaise kahi ho dekha
yaad bilkul nahin aaya mujhe ghanton socha

mom-batti ko galaata raha dheere dheere
raat andhere ka mere kamre mein bahta laava

kitne maghoom ghazaalon ka bharam rakhta hai
narm kapde se tarasha hua kaala burqa

qadr ab ho ki na ho zehn-e-rasa ki lekin
aa hi jaata hai kabhi kaam ye khota sikka

saare din meri tarah jalta hai aur shaam dhale
har-bun-e-moo se lipt jaata hai mera saaya

apne honton pe saja leta hoon main jhooti hasi
apni palkon mein chhupa leta hoon jalta dariya

maan lo meri jo hai us pe qana'at kar lo
ab nahin utarega is duniya mein mann-o-salwa

देर तक रात अँधेरे में जो मैं ने देखा
मुझ से बिछड़े हुए इक शख़्स का चेहरा उभरा

क़स्में दे दे के मिरे हाथों ने मुझ को रोका
मैं ने दीवार से कल नाम जब उस का खुर्चा

देख कर उस को लगा जैसे कहीं हो देखा
याद बिल्कुल नहीं आया मुझे घंटों सोचा

मोम-बत्ती को गलाता रहा धीरे धीरे
रात अँधेरे का मिरे कमरे में बहता लावा

कितने मग़्मूम ग़ज़ालों का भरम रखता है
नर्म कपड़े से तराशा हुआ काला बुर्क़ा

क़द्र अब हो कि न हो ज़ेहन-ए-रसा की लेकिन
आ ही जाता है कभी काम ये खोटा सिक्का

सारे दिन मेरी तरह जलता है और शाम ढले
हर-बुन-ए-मू से लिपट जाता है मेरा साया

अपने होंटों पे सजा लेता हूँ मैं झूटी हँसी
अपनी पलकों में छुपा लेता हूँ जलता दरिया

मान लो मेरी जो है उस पे क़नाअ'त कर लो
अब नहीं उतरेगा इस दुनिया में मन्न-ओ-सल्वा

- Aftab Shamsi
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Shamsi

As you were reading Shayari by Aftab Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Shamsi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari