sabhi bichhad gaye mujh se guzarte pal ki tarah | सभी बिछड़ गए मुझ से गुज़रते पल की तरह - Aftab Shamsi

sabhi bichhad gaye mujh se guzarte pal ki tarah
main gir chuka hoon kisi khwaab ke mahal ki tarah

nawaah-e-jism mein rota-karaahta din-raat
mujhe daraata hai koi meri ajal ki tarah

ye shehar hai yahan apni hi justuju mein log
milenge chalte hue chiyoontiyon ke dal ki tarah

main us se milta raha aaj ki tavakko par
vo mujh se door raha aane waale kal ki tarah

nagar mein zehan ke phir shaam se hai sannaata
udaas udaas hai dil meer ki ghazal ki tarah

nidhaal dekh ke bistar mein neend ki pariyaan
phir aaj mujh se khafa ho gai hain kal ki tarah

सभी बिछड़ गए मुझ से गुज़रते पल की तरह
मैं गिर चुका हूँ किसी ख़्वाब के महल की तरह

नवाह-ए-जिस्म में रोता-कराहता दिन-रात
मुझे डराता है कोई मिरी अजल की तरह

ये शहर है यहाँ अपनी ही जुस्तुजू में लोग
मिलेंगे चलते हुए चियूँटियों के दल की तरह

मैं उस से मिलता रहा आज की तवक़्क़ो' पर
वो मुझ से दूर रहा आने वाले कल की तरह

नगर में ज़ेहन के फिर शाम से है सन्नाटा
उदास उदास है दिल 'मीर' की ग़ज़ल की तरह

निढाल देख के बिस्तर में नींद की परियाँ
फिर आज मुझ से ख़फ़ा हो गई हैं कल की तरह

- Aftab Shamsi
0 Likes

Gussa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Shamsi

As you were reading Shayari by Aftab Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Shamsi

Similar Moods

As you were reading Gussa Shayari Shayari