toota hua aaina jo raaste mein pada tha | टूटा हुआ आईना जो रस्ते में पड़ा था - Aftab Shamsi

toota hua aaina jo raaste mein pada tha
suraj ki tarah meri nigaahon mein chubha tha

naam apna hi main sab se khada pooch raha tha
kuch meri samajh mein nahin aaya ki ye kya tha

aankhon ke dariche nazar aate the muqaffal
aur zehan ke kamre mein dhuaan phail raha tha

jaati hui baaraat ne ik lamha thithak kar
thehri hui ik laash pe maatam bhi kiya tha

maazi nahin marta hai yaqeen aa gaya mujh ko
beeta hua har pal vo liye saath khada tha

toofaan ki zad mein the khayaalon ke safeene
main ulta samundar ki taraf bhag raha tha

टूटा हुआ आईना जो रस्ते में पड़ा था
सूरज की तरह मेरी निगाहों में चुभा था

नाम अपना ही मैं सब से खड़ा पूछ रहा था
कुछ मेरी समझ में नहीं आया कि ये क्या था

आँखों के दरीचे नज़र आते थे मुक़फ़्फ़ल
और ज़ेहन के कमरे में धुआँ फैल रहा था

जाती हुई बारात ने इक लम्हा ठिठक कर
ठहरी हुई इक लाश पे मातम भी किया था

माज़ी नहीं मरता है यक़ीं आ गया मुझ को
बीता हुआ हर पल वो लिए साथ खड़ा था

तूफ़ान की ज़द में थे ख़यालों के सफ़ीने
मैं उल्टा समुंदर की तरफ़ भाग रहा था

- Aftab Shamsi
0 Likes

Faith Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Shamsi

As you were reading Shayari by Aftab Shamsi

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Shamsi

Similar Moods

As you were reading Faith Shayari Shayari