gira to gir ke sar-e-khaak-e-ibtizaal aaya | गिरा तो गिर के सर-ए-ख़ाक-ए-इब्तिज़ाल आया - Afzal Ahmad Syed

gira to gir ke sar-e-khaak-e-ibtizaal aaya
main tegh-e-tez tha lekin mujhe zawaal aaya

ajab hua ki sitaara-shanaas se mil kar
shikast-e-anjum-e-nau-khez ka khayal aaya

main khaak-e-sard pe soya to mere pahluu mein
phir ek khwaab-e-shikast aaina-misaal aaya

kamaan-e-shaakh se gul kis hadf ko jaate hain
nasheb-e-khaak mein ja kar mujhe khayal aaya

koi nahin tha magar saahil-e-tamannaa par
hawaa-e-shaam mein jab rang-e-indimaal aaya

yahi hai vasl dil-e-kam-muamla ke liye
ki aaine mein vo khurshid-e-khadd-o-khaal aaya

गिरा तो गिर के सर-ए-ख़ाक-ए-इब्तिज़ाल आया
मैं तेग़-ए-तेज़ था लेकिन मुझे ज़वाल आया

अजब हुआ कि सितारा-शनास से मिल कर
शिकस्त-ए-अंजुम-ए-नौ-ख़ेज़ का ख़याल आया

मैं ख़ाक-ए-सर्द पे सोया तो मेरे पहलू में
फिर एक ख़्वाब-ए-शिकस्त आइना-मिसाल आया

कमान-ए-शाख़ से गुल किस हदफ़ को जाते हैं
नशेब-ए-ख़ाक में जा कर मुझे ख़याल आया

कोई नहीं था मगर साहिल-ए-तमन्ना पर
हवा-ए-शाम में जब रंग-ए-इंदिमाल आया

यही है वस्ल दिल-ए-कम-मुआमला के लिए
कि आइने में वो ख़ुर्शीद-ए-ख़द्द-ओ-ख़ाल आया

- Afzal Ahmad Syed
0 Likes

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ahmad Syed

As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ahmad Syed

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari