sitam ki teg pe ye dast-e-be-niyaam rakha | सितम की तेग़ पे ये दस्त-ए-बे-नियाम रखा - Afzal Ahmad Syed

sitam ki teg pe ye dast-e-be-niyaam rakha
gul-e-shikasta sar-e-shaakh-e-intiqaam rakha

main dil ko us ki taghaful-sara se le aaya
aur apne khaana-e-vahshat mein zer-e-daam rakha

nigaar-khaana-e-tasleem kya biyaabaan tha
jahaan pe sail-e-kharaabi ko main ne thaam rakha

mizaa pe khushk kiye ashk-e-na-muraad us ne
phir aaine mein mera aks-e-laala-faam rakha

isee fasaana-e-vahshat mein aakhir-e-shab ko
main tegh-e-tez rakhi us ne neem jaam rakha

सितम की तेग़ पे ये दस्त-ए-बे-नियाम रखा
गुल-ए-शिकस्त सर-ए-शाख़-ए-इंतिक़ाम रखा

मैं दिल को उस की तग़ाफ़ुल-सरा से ले आया
और अपने ख़ाना-ए-वहशत में ज़ेर-ए-दाम रखा

निगार-ख़ाना-ए-तस्लीम क्या बयाबाँ था
जहाँ पे सैल-ए-ख़राबी को मैं ने थाम रखा

मिज़ा पे ख़ुश्क किए अश्क-ए-ना-मुराद उस ने
फिर आइने में मिरा अक्स-ए-लाला-फ़ाम रखा

इसी फ़साना-ए-वहशत में आख़िर-ए-शब को
मैं तेग़-ए-तेज़ रक्खी उस ने नीम जाम रखा

- Afzal Ahmad Syed
0 Likes

Zulm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ahmad Syed

As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ahmad Syed

Similar Moods

As you were reading Zulm Shayari Shayari