kuchh aur rang main tarteeb-e-khushk-o-tar karta
zameen bichha ke hawa odh ke basar karta
gul o shaguft ko aapas mein dastaras deta
aur aaine ke liye aaina sipar karta
charaagh-e-kohna hataata fasil-e-murda se
giyaah-e-khaam pe shabnam dabeez-tar karta
vo neem naan-e-khunuk aab aur sag-e-ham-naam
main zer-e-sabz-shajar apna mustaqar karta
vo jis se shehar ki deewaar be-navishta hai
main us ki shaakh-e-tahayya ko be-samar karta
main choomta hua ik ahad-naama-e-mansookh
kisi qadeem samundar mein raahguzaar karta
कुछ और रंग मैं तरतीब-ए-ख़ुश्क-ओ-तर करता
ज़मीं बिछा के हवा ओढ़ के बसर करता
गुल ओ शगुफ़्त को आपस में दस्तरस देता
और आइने के लिए आइना सिपर करता
चराग़-ए-कोहना हटाता फ़सील-ए-मुर्दा से
गियाह-ए-ख़ाम पे शबनम दबीज़-तर करता
वो नीम नान-ए-ख़ुनुक आब और सग-ए-हम-नाम
मैं ज़ेर-ए-सब्ज़-शजर अपना मुस्तक़र करता
वो जिस से शहर की दीवार बे-नविश्ता है
मैं उस की शाख़-ए-तहय्या को बे-समर करता
मैं चूमता हुआ इक अहद-नामा-ए-मंसूख़
किसी क़दीम समुंदर में रहगुज़र करता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed
our suggestion based on Afzal Ahmad Syed
As you were reading Aaina Shayari Shayari