ye nahar-e-aab bhi us ki hai mulk-e-shaam us ka
jo hashr mujh pe bapaa hai vo ehtimaam us ka
sipaah-e-taaza bhi us ki saf-e-nigaah se hai
safa-e-seen-e-shamsheer par hai naam us ka
amaan khema-e-ram-khurdagaan mein baaki hai
ki na-tamaam hai ik shauq-e-qatl-e-aam us ka
kitaab-e-umr se sab harf ud gaye mere
ki mujh aseer ko hona hai ham-kalaam us ka
dil-e-shikasta ko laana hai roo-b-roo us ke
jo mujh se narm hua koi band daam us ka
main us ke haath se kis zakham mein kami rakhoon
shuroo-e-naaz bhi us ka hai ikhtitaam us ka
ये नहर-ए-आब भी उस की है मुल्क-ए-शाम उस का
जो हश्र मुझ पे बपा है वो एहतिमाम उस का
सिपाह-ए-ताज़ा भी उस की सफ़-ए-निगाह से है
सफ़ा-ए-सीन-ए-शमशीर पर है नाम उस का
अमान ख़ेमा-ए-रम-ख़ुर्दगाँ में बाक़ी है
कि ना-तमाम है इक शौक़-ए-क़त्ल-ए-आम उस का
किताब-ए-उम्र से सब हर्फ़ उड़ गए मेरे
कि मुझ असीर को होना है हम-कलाम उस का
दिल-ए-शिकस्ता को लाना है रू-ब-रू उस के
जो मुझ से नर्म हुआ कोई बंद दाम उस का
मैं उस के हाथ से किस ज़ख़्म में कमी रक्खूँ
शुरू-ए-नाज़ भी उस का है इख़्तिताम उस का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed
our suggestion based on Afzal Ahmad Syed
As you were reading Nazakat Shayari Shayari