bahut na hausla-e-izz-o-jaah mujh se hua | बहुत न हौसला-ए-इज़्ज़-ओ-जाह मुझ से हुआ - Afzal Ahmad Syed

bahut na hausla-e-izz-o-jaah mujh se hua
faqat faraaz-e-nageen-o-nigaah mujh se hua

charaagh-e-shab ne mujhe apne khwaab mein dekha
sitaara-e-seheri khush-nigaah mujh se hua

girift-e-kooza se ik khaak meri samt badhi
saf-e-saraab koi sadd-e-raah mujh se hua

shab-e-fasaana-o-farsang us se mil aaya
jo maawra-e-safed-o-siyaah mujh se hua

sar-e-gurez-o-gumaan us ne imtihaan liya
jo ham-kinaar mera kam-nigaah mujh se hua

kamaan-e-khaana-e-aflaak ke muqaabil bhi
main us se aur vo phir kaj-kulaah mujh se hua

jo sail-e-hijrat-e-gul tha mere qadam se ruka
kamand lamha-e-sad-ishtibaah mujh se hua

niyaam-zad na hui mujh se tegh-e-hairaani
shikast-e-aaina-e-intibaah mujh se hua

बहुत न हौसला-ए-इज़्ज़-ओ-जाह मुझ से हुआ
फ़क़त फ़राज़-ए-नगीन-ओ-निगाह मुझ से हुआ

चराग़-ए-शब ने मुझे अपने ख़्वाब में देखा
सितारा-ए-सहरी ख़ुश-निगाह मुझ से हुआ

गिरफ़्त-ए-कूज़ा से इक ख़ाक मेरी सम्त बढ़ी
सफ़-ए-सराब कोई सद्द-ए-राह मुझ से हुआ

शब-ए-फ़साना-ओ-फर्संग उस से मिल आया
जो मावरा-ए-सफ़ेद-ओ-सियाह मुझ से हुआ

सर-ए-गुरेज़-ओ-गुमाँ उस ने इम्तिहान लिया
जो हम-कनार मिरा कम-निगाह मुझ से हुआ

कमान-ए-ख़ाना-ए-अफ़्लाक के मुक़ाबिल भी
मैं उस से और वो फिर कज-कुलाह मुझ से हुआ

जो सैल-ए-हिजरत-ए-गुल था मिरे क़दम से रुका
कमंद लम्हा-ए-सद-इश्तिबाह मुझ से हुआ

नियाम-ज़द न हुई मुझ से तेग़-ए-हैरानी
शिकस्त-ए-आइना-ए-इंतिबाह मुझ से हुआ

- Afzal Ahmad Syed
1 Like

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ahmad Syed

As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ahmad Syed

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari