sahaab-e-sabz na taous-e-neelamiin laaya | सहाब-ए-सब्ज़ न ताऊस-ए-नीलमीं लाया - Afzal Ahmad Syed

sahaab-e-sabz na taous-e-neelamiin laaya
vo shakhs laut ke ik aur sar-zameen laaya

ata usi ki hai ye shahad o shor ki taufeeq
wahi galeem mein ye naan-e-be-javeen laaya

usi ki chaap hai ukhde hue kharanje par
vo khisht o khwaab ko bairoon-e-azmagiin laaya

vo pesh-e-burrish-e-shamsheer bhi gawaahi mein
kaf-e-buland mein ik shaakh-e-yaasmiin laaya

kitaab-e-khaak padhi zalzale ki raat us ne
shaguft-e-gul ke zamaane mein vo yaqeen laaya

सहाब-ए-सब्ज़ न ताऊस-ए-नीलमीं लाया
वो शख़्स लौट के इक और सर-ज़मीं लाया

अता उसी की है ये शहद ओ शोर की तौफ़ीक़
वही गलीम में ये नान-ए-बे-जवीं लाया

उसी की चाप है उखड़े हुए खड़नजे पर
वो ख़िश्त ओ ख़्वाब को बैरून-ए-अज़मगीं लाया

वो पेश-ए-बुर्रिश-ए-शमशीर भी गवाही में
कफ़-ए-बुलंद में इक शाख़-ए-यासमीं लाया

किताब-ए-ख़ाक पढ़ी ज़लज़ले की रात उस ने
शगुफ़्त-ए-गुल के ज़माने में वो यक़ीं लाया

- Afzal Ahmad Syed
0 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ahmad Syed

As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ahmad Syed

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari