dua ki raakh pe marmar ka itr-daan us ka | दुआ की राख पे मरमर का इत्र-दाँ उस का - Afzal Ahmad Syed

dua ki raakh pe marmar ka itr-daan us ka
gazeedagi ke liye dast-e-mehrbaan us ka

gahan ke roz vo daagi hui jabeen us ki
shab-e-shikast wahi jism be-amaan us ka

kamand-e-ghair mein sab asp o gosfand us ke
nasheb-e-khaak mein khufta-sitaara-daan us ka

tannur-e-yakh mein thithurte hain khwaab o khun us ke
likha hai naam sar-e-lauh-e-raftagaan us ka

chuni hui hain tah-e-khisht ungaliyaan us ki
khula hua hai pas-e-reg baadbaan us ka

vo ik charaagh hai deewaar-e-khastagi pe ruka
hawa ho tez to har haal mein ziyaan us ka

usi se dhoop hai ambaar-e-dhund hai roo-posh
girift-e-khwaab se barsar hai kaarwaan us ka

दुआ की राख पे मरमर का इत्र-दाँ उस का
गज़ीदगी के लिए दस्त-ए-मेहरबाँ उस का

गहन के रोज़ वो दाग़ी हुई जबीं उस की
शब-ए-शिकस्त वही जिस्म बे-अमाँ उस का

कमंद-ए-ग़ैर में सब अस्प ओ गोस्फ़ंद उस के
नशेब-ए-ख़ाक में ख़ुफ़्ता-सितारा-दाँ उस का

तन्नुर-ए-यख़ में ठिठुरते हैं ख़्वाब ओ ख़ूँ उस के
लिखा है नाम सर-ए-लौह-ए-रफ़्तगाँ उस का

चुनी हुई हैं तह-ए-ख़िश्त उँगलियाँ उस की
खुला हुआ है पस-ए-रेग बादबाँ उस का

वो इक चराग़ है दीवार-ए-ख़स्तगी पे रुका
हवा हो तेज़ तो हर हाल में ज़ियाँ उस का

उसी से धूप है अम्बार-ए-धुँद है रू-पोश
गिरफ़्त-ए-ख़्वाब से बरसर है कारवाँ उस का

- Afzal Ahmad Syed
1 Like

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ahmad Syed

As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ahmad Syed

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari