koi na harf-e-naved-o-khabar kaha us ne | कोई न हर्फ़-ए-नवेद-ओ-ख़बर कहा उस ने - Afzal Ahmad Syed

koi na harf-e-naved-o-khabar kaha us ne
wahi fasaana-e-ashufta-tar kaha us ne

shiraakat-e-khas-o-shola hai kaarobaar-e-junoon
ziyaan-kade mein kis anjaam par kaha us ne

use bhi naaz-e-ghalat-karda-e-taghaful tha
ki khwaab o khema-faroshi ko ghar kaha us ne

tamaam log jise aasmaan kahte hain
agar kaha to use baal o par kaha us ne

use ajab tha ghuroor-e-shaguft-e-rukhsaari
bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kaha us ne

ye gul hain aur ye sitaare hain aur ye main hoon
bas ek din mujhe taaleem kar kaha us ne

meri misaal thi saffaaki-e-tamanna mein
supurdagi mein mujhe qatl kar kaha us ne

main aaftaab-e-qayaamat tha so tulu hua
hazaar matla-e-na-saaz-tar kaha us ne

कोई न हर्फ़-ए-नवेद-ओ-ख़बर कहा उस ने
वही फ़साना-ए-अशुफ़्ता-तर कहा उस ने

शिराकत-ए-ख़स-ओ-शोला है कारोबार-ए-जुनूँ
ज़ियाँ-कदे में किस अंजाम पर कहा उस ने

उसे भी नाज़-ए-ग़लत-कर्दा-ए-तग़ाफ़ुल था
कि ख़्वाब ओ ख़ेमा-फ़रोशी को घर कहा उस ने

तमाम लोग जिसे आसमान कहते हैं
अगर कहा तो उसे बाल ओ पर कहा उस ने

उसे अजब था ग़ुरूर-ए-शगुफ़्त-ए-रुख़्सारी
बहार-ए-गुल को बहुत बे-हुनर कहा उस ने

ये गुल हैं और ये सितारे हैं और ये मैं हूँ
बस एक दिन मुझे तालीम कर कहा उस ने

मिरी मिसाल थी सफ़्फ़ाकी-ए-तमन्ना में
सुपुर्दगी में मुझे क़त्ल कर कहा उस ने

मैं आफ़्ताब-ए-क़यामत था सो तुलू हुआ
हज़ार मतला-ए-ना-साज़-तर कहा उस ने

- Afzal Ahmad Syed
0 Likes

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ahmad Syed

As you were reading Shayari by Afzal Ahmad Syed

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ahmad Syed

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari