purane sab nazaare ja rahe hain | पुराने सब नज़ारे जा रहे हैं - Afzal Hazarvi

purane sab nazaare ja rahe hain
naye manzar ubhaare ja rahe hain

udhar hai sard-mehri aur idhar se
ishaaron par ishaare ja rahe hain

safeena ho raha hai ghark-e-toofaan
nigaahon se kinaare ja rahe hain

nahin baatin pe ab koi tavajjoh
faqat zaahir sanwaare ja rahe hain

shab-e-gham mein rukh-e-raushan ke jalwe
andheron ko nikhaare ja rahe hain

kahi bikhri padi hai zulf afzal
kahi gesu sanwaare ja rahe hain

पुराने सब नज़ारे जा रहे हैं
नए मंज़र उभारे जा रहे हैं

उधर है सर्द-मेहरी और इधर से
इशारों पर इशारे जा रहे हैं

सफ़ीना हो रहा है ग़र्क़-ए-तूफ़ाँ
निगाहों से किनारे जा रहे हैं

नहीं बातिन पे अब कोई तवज्जोह
फ़क़त ज़ाहिर सँवारे जा रहे हैं

शब-ए-ग़म में रुख़-ए-रौशन के जल्वे
अँधेरों को निखारे जा रहे हैं

कहीं बिखरी पड़ी है ज़ुल्फ़ 'अफ़ज़ल'
कहीं गेसू सँवारे जा रहे हैं

- Afzal Hazarvi
0 Likes

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Hazarvi

As you were reading Shayari by Afzal Hazarvi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Hazarvi

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari