yaadon ki jaageer na hoti to main yaaro kya karta | यादों की जागीर न होती तो मैं यारो क्या करता - Afzal Hazarvi

yaadon ki jaageer na hoti to main yaaro kya karta
gar us ki tasveer na hoti to main yaaro kya karta

us ke dam se raanjha tha main vo hi meri pehchaan bani
vo gar meri heer na hoti to main yaaro kya karta

qaail karna kaam tha mushkil par vo qaail ho hi gaya
lehje mein taaseer na hoti to main yaaro kya karta

mera kaam tamaam tha warna us ke nek iraade se
haathon mein shamsheer na hoti to main yaaro kya karta

andar se main toota-foota ek khandar veeraana tha
zaahir jo ta'aamir na hoti to main yaaro kya karta

zulmat-e-shab mein raushan afzal ik nanha sa jugnoo tha
itni bhi tanveer na hoti to main yaaro kya karta

यादों की जागीर न होती तो मैं यारो क्या करता
गर उस की तस्वीर न होती तो मैं यारो क्या करता

उस के दम से राँझा था मैं वो ही मिरी पहचान बनी
वो गर मेरी हीर न होती तो मैं यारो क्या करता

क़ाइल करना काम था मुश्किल पर वो क़ाइल हो ही गया
लहजे में तासीर न होती तो मैं यारो क्या करता

मेरा काम तमाम था वर्ना उस के नेक इरादे से
हाथों में शमशीर न होती तो मैं यारो क्या करता

अंदर से मैं टूटा-फूटा एक खंडर वीराना था
ज़ाहिर जो ता'मीर न होती तो मैं यारो क्या करता

ज़ुल्मत-ए-शब में रौशन 'अफ़ज़ल' इक नन्हा सा जुगनू था
इतनी भी तनवीर न होती तो मैं यारो क्या करता

- Afzal Hazarvi
0 Likes

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Hazarvi

As you were reading Shayari by Afzal Hazarvi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Hazarvi

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari