gir pada tu aakhiri zeene ko choo kar kis liye | गिर पड़ा तू आख़िरी ज़ीने को छू कर किस लिए - Afzal Minhas

gir pada tu aakhiri zeene ko choo kar kis liye
aa gaya phir aasmaanon se zameen par kis liye

aaina-khaanon mein chhup kar rahne waale aur hain
tum ne haathon mein utha rakhe hain patthar kis liye

main ne apni har masarrat doosron ko bakhsh di
phir ye hangaama bapaa hai ghar se baahar kis liye

aks padte hi musavvir ka qalam tharraa gaya
naqsh ik aab-e-ravaan par hai ujaagar kis liye

ek hi fankaar ke shehkaar hain duniya ke log
koi bartar kis liye hai koi kam-tar kis liye

khushbuon ko mausamon ka zahar peena hai abhi
apni saansen kar rahe ho yun moattar kis liye

itni ahmiyat ke qaabil to na tha mitti ka ghar
ek nuqte mein simat aaya samundar kis liye

poochta hoon sab se afzal koi batlaata nahin
bebaasi ki maut marte hain suhan-var kis liye

गिर पड़ा तू आख़िरी ज़ीने को छू कर किस लिए
आ गया फिर आसमानों से ज़मीं पर किस लिए

आईना-ख़ानों में छुप कर रहने वाले और हैं
तुम ने हाथों में उठा रक्खे हैं पत्थर किस लिए

मैं ने अपनी हर मसर्रत दूसरों को बख़्श दी
फिर ये हंगामा बपा है घर से बाहर किस लिए

अक्स पड़ते ही मुसव्विर का क़लम थर्रा गया
नक़्श इक आब-ए-रवाँ पर है उजागर किस लिए

एक ही फ़नकार के शहकार हैं दुनिया के लोग
कोई बरतर किस लिए है कोई कम-तर किस लिए

ख़ुशबुओं को मौसमों का ज़हर पीना है अभी
अपनी साँसें कर रहे हो यूँ मोअत्तर किस लिए

इतनी अहमियत के क़ाबिल तो न था मिट्टी का घर
एक नुक़्ते में सिमट आया समुंदर किस लिए

पूछता हूँ सब से अफ़ज़ल कोई बतलाता नहीं
बेबसी की मौत मरते हैं सुख़न-वर किस लिए

- Afzal Minhas
0 Likes

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari