har chand zindagi ka safar mushkilon mein hai | हर चंद ज़िंदगी का सफ़र मुश्किलों में है - Afzal Minhas

har chand zindagi ka safar mushkilon mein hai
insaan ka aks phir bhi kai aainon mein hai

tahzeeb ko talash na kar shehar shehar mein
tahzeeb khandaron mein hai kuch pattharon mein hai

tujh ko sukoon nahin hai to mitti mein doob ja
aabaad ik jahaan zameen ki tahon mein hai

kaisa tazaad hai ki fazaa hai dhuaan dhuaan
aur aag hai ki zer-e-zameen khandaqon mein hai

insaan be-hisi se hai patthar bana hua
munh mein zabaan bhi hai lahu bhi ragon mein hai

हर चंद ज़िंदगी का सफ़र मुश्किलों में है
इंसाँ का अक्स फिर भी कई आइनों में है

तहज़ीब को तलाश न कर शहर शहर में
तहज़ीब खंडरों में है कुछ पत्थरों में है

तुझ को सुकूँ नहीं है तो मिट्टी में डूब जा
आबाद इक जहान ज़मीं की तहों में है

कैसा तज़ाद है कि फ़ज़ा है धुआँ धुआँ
और आग है कि ज़ेर-ए-ज़मीं ख़ंदक़ों में है

इंसान बे-हिसी से है पत्थर बना हुआ
मुँह में ज़बान भी है लहू भी रगों में है

- Afzal Minhas
0 Likes

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari