aap ke dil ko mere dil se kahi pyaar na ho | आप के दिल को मिरे दिल से कहीं प्यार न हो - Afzal Peshawari

aap ke dil ko mere dil se kahi pyaar na ho
zindagi meri tarah aap ki dushwaar na ho

maanne se meri dar hai unhen inkaar na ho
ye meri arz-e-tamanna kahi be-kaar na ho

shauq se rabt-e-mohabbat ko badhaayein lekin
had se badh kar ye mohabbat kahi aazaar na ho

zindagi rashk ke qaabil ho mohabbat mein agar
dil ki har baat pe iqaar ho inkaar na ho

mere armaanon ki duniya ka khuda-haafiz ho
aap ke dil mein agar jazba-e-eisaar na ho

aish choomega qadam ranj ke din talne de
mere dil un ki mohabbat se tu bezaar na ho

zindagi yun hi bhatkati rahe manzil ke liye
ek se ek ko duniya mein agar pyaar na ho

hijr ke ab to tasavvur se hi dam ghutta hai
mein to mar jaaun jo pahluu mein mere yaar na ho

main samajhta hoon wafaadaar-e-mohabbat us ko
jo mohabbat mein wafaon ka talabgaar na ho

rabt ki chaashni ka kirkira ho jaaye maza
lutf-aamez mohabbat mein jo takraar na ho

us pe hote hain zamaane ke karam ai afzal
ik zara se jo karam ka bhi ravaadaar na ho

आप के दिल को मिरे दिल से कहीं प्यार न हो
ज़िंदगी मेरी तरह आप की दुश्वार न हो

मानने से मिरी डर है उन्हें इंकार न हो
ये मिरी अर्ज़-ए-तमन्ना कहीं बे-कार न हो

शौक़ से रब्त-ए-मोहब्बत को बढ़ाएँ लेकिन
हद से बढ़ कर ये मोहब्बत कहीं आज़ार न हो

ज़िंदगी रश्क के क़ाबिल हो मोहब्बत में अगर
दिल की हर बात पे इक़रार हो इंकार न हो

मेरे अरमानों की दुनिया का ख़ुदा-हाफ़िज़ हो
आप के दिल में अगर जज़्बा-ए-ईसार न हो

ऐश चूमेगा क़दम रंज के दिन टलने दे
मेरे दिल उन की मोहब्बत से तू बेज़ार न हो

ज़िंदगी यूँ ही भटकती रहे मंज़िल के लिए
एक से एक को दुनिया में अगर प्यार न हो

हिज्र के अब तो तसव्वुर से ही दम घुटता है
में तो मर जाऊँ जो पहलू में मिरे यार न हो

मैं समझता हूँ वफ़ादार-ए-मोहब्बत उस को
जो मोहब्बत में वफ़ाओं का तलबगार न हो

रब्त की चाशनी का किरकिरा हो जाए मज़ा
लुत्फ़-आमेज़ मोहब्बत में जो तकरार न हो

उस पे होते हैं ज़माने के करम ऐ 'अफ़ज़ल'
इक ज़रा से जो करम का भी रवादार न हो

- Afzal Peshawari
0 Likes

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Peshawari

As you were reading Shayari by Afzal Peshawari

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Peshawari

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari