baghair apne kisi matlab ke ulfat kaun karta hai | बग़ैर अपने किसी मतलब के उल्फ़त कौन करता है - Afzal Peshawari

baghair apne kisi matlab ke ulfat kaun karta hai
ye duniya hai yahan be-laus chaahat kaun karta hai

gawara lutf-farmaani ki zahmat kaun karta hai
mohabbat karne waale se mohabbat kaun karta hai

kabhi aaina le kar husn se apni zara poocho
nazar ko dil ko paaband-e-mohabbat kaun karta hai

mohabbat main bhi karta hoon mohabbat tum bhi karti ho
magar dono mein munh-dekhi mohabbat kaun karta hai

shareek-e-zindagi ho kar mera tum saath kya dogi
kisi ke ranj par qurbaan raahat kaun karta hai

tumhein zom-e-mohabbat hai mujhe bhi hai magar ai jaan
tum apni dil se hi poocho mohabbat kaun karta hai

jawaani ke nikhrate husn ki andaaz se poocho
mere khwaabida jazbon se sharaarat kaun karta hai

galat ilzaam hai mujh par mere barbaad hone ka
khud apne vaaste paida museebat kaun karta hai

tatolo apne dil ko aur apne dil se hi poocho
ki ye mere liye saamaan-e-vahshat kaun karta hai

gharz-mandi tak ai afzal mohabbat sab ko hoti hai
mohabbat aaj-kal hasb-e-mohabbat kaun karta hai

बग़ैर अपने किसी मतलब के उल्फ़त कौन करता है
ये दुनिया है यहाँ बे-लौस चाहत कौन करता है

गवारा लुत्फ़-फ़रमानी की ज़हमत कौन करता है
मोहब्बत करने वाले से मोहब्बत कौन करता है

कभी आईना ले कर हुस्न से अपनी ज़रा पूछो
नज़र को दिल को पाबंद-ए-मोहब्बत कौन करता है

मोहब्बत मैं भी करता हूँ मोहब्बत तुम भी करती हो
मगर दोनों में मुँह-देखी मोहब्बत कौन करता है

शरीक-ए-ज़िंदगी हो कर मिरा तुम साथ क्या दोगी
किसी के रंज पर क़ुर्बान राहत कौन करता है

तुम्हें ज़ोम-ए-मोहब्बत है मुझे भी है मगर ऐ जाँ
तुम अपनी दिल से ही पूछो मोहब्बत कौन करता है

जवानी के निखरते हुस्न की अंदाज़ से पूछो
मिरे ख़्वाबीदा जज़्बों से शरारत कौन करता है

ग़लत इल्ज़ाम है मुझ पर मिरे बर्बाद होने का
ख़ुद अपने वास्ते पैदा मुसीबत कौन करता है

टटोलो अपने दिल को और अपने दिल से ही पूछो
कि ये मेरे लिए सामान-ए-वहशत कौन करता है

ग़रज़-मंदी तक ऐ 'अफ़ज़ल' मोहब्बत सब को होती है
मोहब्बत आज-कल हस्ब-ए-मोहब्बत कौन करता है

- Afzal Peshawari
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Peshawari

As you were reading Shayari by Afzal Peshawari

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Peshawari

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari