pesh aane lage hain nafrat se | पेश आने लगे हैं नफ़रत से - Afzal Peshawari

pesh aane lage hain nafrat se
bhar gaya un ka dil mohabbat se

faaeda ye hai teri qurbat se
khoob katata hai waqt raahat se

kaam bante nahin hain nafrat se
kaam chalte hain sab mohabbat se

un ki khaatir mujhe jahaan waale
dekhte hain badi hiqaarat se

zindagi meri ik museebat thi
mil gaye aap mujh ko qismat se

saari duniya hareef hai meri
ik zara si tiri inaayat se

kya khabar thi ki waqt padte hi
haath utha lenge vo mohabbat se

vo shab-e-wasl bhi to pahluu mein
baaz aate nahin sharaarat se

dil ko chaska pada hai kuch aisa
baaz aata nahin mohabbat se

kaamraani ke vaaste afzal
kaam lena padega himmat se

पेश आने लगे हैं नफ़रत से
भर गया उन का दिल मोहब्बत से

फ़ाएदा ये है तेरी क़ुर्बत से
ख़ूब कटता है वक़्त राहत से

काम बनते नहीं हैं नफ़रत से
काम चलते हैं सब मोहब्बत से

उन की ख़ातिर मुझे जहाँ वाले
देखते हैं बड़ी हिक़ारत से

ज़िंदगी मेरी इक मुसीबत थी
मिल गए आप मुझ को क़िस्मत से

सारी दुनिया हरीफ़ है मेरी
इक ज़रा सी तिरी इनायत से

क्या ख़बर थी कि वक़्त पड़ते ही
हाथ उठा लेंगे वो मोहब्बत से

वो शब-ए-वस्ल भी तो पहलू में
बाज़ आते नहीं शरारत से

दिल को चसका पड़ा है कुछ ऐसा
बाज़ आता नहीं मोहब्बत से

कामरानी के वास्ते 'अफ़ज़ल'
काम लेना पड़ेगा हिम्मत से

- Afzal Peshawari
0 Likes

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Peshawari

As you were reading Shayari by Afzal Peshawari

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Peshawari

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari