agar badla kabhi rukh be-rukhi ka | अगर बदला कभी रुख़ बे-रुख़ी का - Afzal Peshawari

agar badla kabhi rukh be-rukhi ka
to aayega maza kuch zindagi ka

mujhe barbaad kar ke hans rahe ho
liya hai tum ne ye badla kabhi ka

isee ummeed par gham sah raha hoon
kabhi to aayega mauqa khushi ka

mujhe dil se bhulaana chahte ho
yahi hai muddaa daaman-kushi ka

mohabbat mein gai izzat to kya gham
yahan ye hashr hota hai sabhi ka

kabhi hoga shagufta dil ka guncha
kabhi badlega rang afsurdagi ka

mujhe afzal duboya hai usi ne
jise samjhe sahaara zindagi ka

अगर बदला कभी रुख़ बे-रुख़ी का
तो आएगा मज़ा कुछ ज़िंदगी का

मुझे बर्बाद कर के हँस रहे हो
लिया है तुम ने ये बदला कभी का

इसी उम्मीद पर ग़म सह रहा हूँ
कभी तो आएगा मौक़ा' ख़ुशी का

मुझे दिल से भुलाना चाहते हो
यही है मुद्दआ' दामन-कुशी का

मोहब्बत में गई इज़्ज़त तो क्या ग़म
यहाँ ये हश्र होता है सभी का

कभी होगा शगुफ़्ता दिल का ग़ुंचा
कभी बदलेगा रंग अफ़्सुर्दगी का

मुझे 'अफ़ज़ल' डुबोया है उसी ने
जिसे समझे सहारा ज़िंदगी का

- Afzal Peshawari
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Peshawari

As you were reading Shayari by Afzal Peshawari

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Peshawari

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari