buton ke vaaste to deen-o-eemaan bech dale hain | बुतों के वास्ते तो दीन-ओ-ईमाँ बेच डाले हैं

  - Agha Shayar Qazalbash

buton ke vaaste to deen-o-eemaan bech dale hain
ye vo maashooq hain jo ham ne kaabe se nikale hain

vo deewaana hoon jis ne koh o sehra chaan dale hain
unhin talvon se to toote hue kaante nikale hain

taraashi hain vo baatein us sitamgar ne sar-e-mahfil
kaleje se hazaaron teer chun chun kar nikale hain

jigar dil ke varq hain vaada-e-deedaar se raushan
unhen kyun doon kisi ko ye to jannat ke qibaale hain

agar munh se kaha kuchh to bikhar hi jaayenge tukde
badi mushkil se ham toote hue dil ko sambhaale hain

humeen hain mojid-e-baab-e-fasaahat hazrat-e-'shaair
zamaana seekhta hai ham se ham vo dilli waale hain

बुतों के वास्ते तो दीन-ओ-ईमाँ बेच डाले हैं
ये वो माशूक़ हैं जो हम ने काबे से निकाले हैं

वो दीवाना हूँ जिस ने कोह ओ सहरा छान डाले हैं
उन्हीं तलवों से तो टूटे हुए काँटे निकाले हैं

तराशी हैं वो बातें उस सितमगर ने सर-ए-महफ़िल
कलेजे से हज़ारों तीर चुन चुन कर निकाले हैं

जिगर दिल के वरक़ हैं वादा-ए-दीदार से रौशन
उन्हें क्यूँ दूँ किसी को ये तो जन्नत के क़बाले हैं

अगर मुँह से कहा कुछ तो बिखर ही जाएँगे टुकड़े
बड़ी मुश्किल से हम टूटे हुए दिल को सँभाले हैं

हमीं हैं मोजिद-ए-बाब-ए-फ़साहत हज़रत-ए-'शाइर'
ज़माना सीखता है हम से हम वो दिल्ली वाले हैं

  - Agha Shayar Qazalbash

Jannat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Jannat Shayari Shayari