ye kaise baal khole aaye kyun soorat bani gham ki | ये कैसे बाल खोले आए क्यूँ सूरत बनी ग़म की - Agha Shayar Qazalbash

ye kaise baal khole aaye kyun soorat bani gham ki
tumhaare dushmanon ko kya padi thi mere maatam ki

shikaayat kis se kijeye haaye kya ulta zamaana hai
badhaaya pyaar jab hum ne mohabbat yaar ne kam ki

jigar mein dard hai dil muztarib hai jaan be kal hai
mujhe is be-khudi mein bhi khabar hai apne aalam ki

nahin milte na miliye khair koi mar na jaayega
khuda ka shukr hai pehle mohabbat aap ne kam ki

adoo jis tarah tum ko dekhta hai hum samjhte hain
chhupao laakh tum chhupti nahin hai aankh mehram ki

maza is mein hi milta hai namak chhidko namak chhidko
qasam le lo nahin aadat mere zakhamon ko marham ki

kahaan jaana hai tham-tham kar chalo aisi bhi kiya jaldi
tum hi tum ho khuda rakhe nazar padti hai aalam ki

koi aisa ho aaina ki jis mein tu nazar aaye
zamaane bhar ka jhoota kya haqeeqat saagar-e-jam ki

ghataaein dekh kar be-taab hai bechain hai shaair
tire qurbaan o mutarib suna de koi mausam ki

ये कैसे बाल खोले आए क्यूँ सूरत बनी ग़म की
तुम्हारे दुश्मनों को क्या पड़ी थी मेरे मातम की

शिकायत किस से कीजे हाए क्या उल्टा ज़माना है
बढ़ाया प्यार जब हम ने मोहब्बत यार ने कम की

जिगर में दर्द है दिल मुज़्तरिब है जान बे कल है
मुझे इस बे-ख़ुदी में भी ख़बर है अपने आलम की

नहीं मिलते न मिलिए ख़ैर कोई मर न जाएगा
ख़ुदा का शुक्र है पहले मोहब्बत आप ने कम की

अदू जिस तरह तुम को देखता है हम समझते हैं
छुपाओ लाख तुम छुपती नहीं है आँख महरम की

मज़ा इस में ही मिलता है नमक छिड़को नमक छिड़को
क़सम ले लो नहीं आदत मिरे ज़ख़्मों को मरहम की

कहाँ जाना है थम-थम कर चलो ऐसी भी किया जल्दी
तुम ही तुम हो ख़ुदा रक्खे नज़र पड़ती है आलम की

कोई ऐसा हो आईना कि जिस में तू नज़र आए
ज़माने भर का झूटा क्या हक़ीक़त साग़र-ए-जम की

घटाएँ देख कर बे-ताब है बेचैन है 'शाइर'
तिरे क़ुर्बान ओ मुतरिब सुना दे कोई मौसम की

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari