na nikla munh se kuch nikli na kuch bhi qalb-e-muztar ki | न निकला मुँह से कुछ निकली न कुछ भी क़ल्ब-ए-मुज़्तर की - Agha Shayar Qazalbash

na nikla munh se kuch nikli na kuch bhi qalb-e-muztar ki
kisi ke saamne main ban gaya tasveer patthar ki

khuda se kyun na maanguun waah main bandon se kya maanguun
mujhe mil jaayegi jo cheez hai mere muqaddar ki

tasavvur chahiye ai shaikh sab ka ek eemaa hai
sada hai pardaa-e-naqoos mein allahu-akbar ki

dil-e-raahat-talab ko qabr mein kya be-qaraari hai
mujhe ghabraaye deti hai udaasi is naye ghar ki

kaleje mein hazaaron daagh dil mein hasratein laakhon
kamaai le chala hoon saath apne zindagi bhar ki

sambhal kar dekhna aaraishon ke baad aaina
ye aaina nahin hai ab ye tukde hai barabar ki

mere ashaar shaair daagh o aasif jaah se poocho
ki shah o jauhri hi jaante hain qadr gauhar ki

न निकला मुँह से कुछ निकली न कुछ भी क़ल्ब-ए-मुज़्तर की
किसी के सामने मैं बन गया तस्वीर पत्थर की

ख़ुदा से क्यूँ न माँगूँ वाह मैं बंदों से क्या माँगूँ
मुझे मिल जाएगी जो चीज़ है मेरे मुक़द्दर की

तसव्वुर चाहिए ऐ शैख़ सब का एक ईमा है
सदा है पर्दा-ए-नाक़ूस में अल्लाहु-अकबर की

दिल-ए-राहत-तलब को क़ब्र में क्या बे-क़रारी है
मुझे घबराए देती है उदासी इस नए घर की

कलेजे में हज़ारों दाग़ दिल में हसरतें लाखों
कमाई ले चला हूँ साथ अपने ज़िंदगी भर की

सँभल कर देखना आराइशों के बाद आईना
ये आईना नहीं है अब ये टुकड़े है बराबर की

मिरे अशआर 'शाइर' दाग़ ओ आसिफ़ जाह से पूछो
कि शाह ओ जौहरी ही जानते हैं क़द्र गौहर की

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Mayoosi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Mayoosi Shayari Shayari