jaan dete hi bani ishq ke deewane se | जान देते ही बनी इश्क़ के दीवाने से

  - Agha Shayar Qazalbash

jaan dete hi bani ishq ke deewane se
sham'a ka haal na dekha gaya parwaane se

aatish-e-ishq se jal jal gaye parwaane se
pehle ye aag lagi kaaba o but-khaane se

saaqiya giryaa-e-gham se mujhe majboor samajh
khoon rishta hai ye toote hue paimaane se

raat ki raat chaman mein hai numood-e-shabnam
subh hote hi bikhar jaayenge sab daane se

dam-e-aakhir tiri aankhon ki balaaen le luun
aur dam bhar jo na chalke mere paimaane se

haaye kya cheez theen vo mast nigaahen shaair
jhoomta-jhaamta nikla hoon paree-khaane se

जान देते ही बनी इश्क़ के दीवाने से
शम्अ का हाल न देखा गया परवाने से

आतिश-ए-इश्क़ से जल जल गए परवाने से
पहले ये आग लगी काबा ओ बुत-ख़ाने से

साक़िया गिर्या-ए-ग़म से मुझे मजबूर समझ
ख़ून रिसता है ये टूटे हुए पैमाने से

रात की रात चमन में है नुमूद-ए-शबनम
सुब्ह होते ही बिखर जाएँगे सब दाने से

दम-ए-आख़िर तिरी आँखों की बलाएँ ले लूँ
और दम भर जो न छलके मिरे पैमाने से

हाए क्या चीज़ थीं वो मस्त निगाहें 'शाइर'
झूमता-झामता निकला हूँ परी-ख़ाने से

  - Agha Shayar Qazalbash

Majboori Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Majboori Shayari Shayari