rone se jo bhadaas thi dil ki nikal gai | रोने से जो भड़ास थी दिल की निकल गई

  - Agha Shayar Qazalbash

rone se jo bhadaas thi dil ki nikal gai
aansu bahaaye chaar tabeeyat sambhal gai

main ne taras taras ke guzaari hai saari umr
meri na hogi jaan jo hasrat nikal gai

bechain hoon main jab se nahin dil-lagi kahi
vo dard kya gaya ki mere dil ki kal gai

kehta hai chaaragar ki na paayega indimaal
achha hua ki zakham ki soorat badal gai

ai sham'a ham se soz-e-mohabbat ke zabt seekh
kam-bakht ek raat mein saari pighal gai

shaakh-e-nihaal-e-umr hamaari na fal saki
ye to hai vo kali jo nikalte hi jal gai

dekha jo us ne pyaar se aghyaar ki taraf
shaair qasam khuda ki meri jaan jal gai

रोने से जो भड़ास थी दिल की निकल गई
आँसू बहाए चार तबीअत सँभल गई

मैं ने तरस तरस के गुज़ारी है सारी उम्र
मेरी न होगी जान जो हसरत निकल गई

बेचैन हूँ मैं जब से नहीं दिल-लगी कहीं
वो दर्द क्या गया कि मिरे दिल की कल गई

कहता है चारागर कि न पाएगा इंदिमाल
अच्छा हुआ कि ज़ख़्म की सूरत बदल गई

ऐ शम्अ हम से सोज़-ए-मोहब्बत के ज़ब्त सीख
कम-बख़्त एक रात में सारी पिघल गई

शाख़-ए-निहाल-ए-उम्र हमारी न फल सकी
ये तो है वो कली जो निकलते ही जल गई

देखा जो उस ने प्यार से अग़्यार की तरफ़
'शाइर' क़सम ख़ुदा की मिरी जान जल गई

  - Agha Shayar Qazalbash

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari