jis ne tujhe khilwat mein bhi tanhaa nahin dekha
us dekhne waale ka kaleja nahin dekha
uf uf vo uchatti si nigaah-e-ghalat-andaaz
is tarah se dekha hai ki goya nahin dekha
jis gul ko ye sab dhundti phirti hain hawaaein
tu ne to use nargis-e-shahlaa nahin dekha
dam aankhon mein atka hai khuda ke liye aao
phir ye na gila ho mera rasta nahin dekha
shaair ye ghazal likkhi hai ya jad diye moti
duniya mein qalamkaar bhi aisa nahin dekha
जिस ने तुझे ख़ल्वत में भी तन्हा नहीं देखा
उस देखने वाले का कलेजा नहीं देखा
उफ़ उफ़ वो उचटती सी निगाह-ए-ग़लत-अंदाज़
इस तरह से देखा है कि गोया नहीं देखा
जिस गुल को ये सब ढूँडती फिरती हैं हवाएँ
तू ने तो उसे नर्गिस-ए-शहला नहीं देखा
दम आँखों में अटका है ख़ुदा के लिए आओ
फिर ये न गिला हो मिरा रस्ता नहीं देखा
'शाइर' ये ग़ज़ल लिक्खी है या जड़ दिए मोती
दुनिया में क़लमकार भी ऐसा नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash
our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash
As you were reading Shikwa Shayari Shayari